Friday, November 17, 2006

Kaahe ke waaste??

Kabhi kabhi hum apne seat pe baithe sochte hain,
Kaash apna boss naa hota aur na hote ye kaam.
Kaash ki hor roz party hoti daaru aur sutte ki,
Kaash ke har jaam hota dosti ke naam.

Jindagi bhar miss to karte rahenge woh college ke din,
jab life smoothly chalta tha, naa koi tension ke bin.
Humne to aadat hi daal rakhi thi aish karne ki,
kisko kya pata tha ki future mein ayenge eise bhi din.

Mere bhawishya wakta ne kaha ki jindagi mein rise karoge,
jab dekha usne ujwal rekha haatho mein hamare.
Aaj bhi gar woh mil jaaye kahin to kopche mein le jayege usse,
lagayenge do haath raseed ke uske gaalo par,
aur chhin lenge sau rupaye aur barah aane hamare.

Kaahe ke waaste ki humne engineering,
kaahe ke waaste karte rahe proffesoron se fighting.
Kya mila image hamara kharaab karke,
koi sympathy to dikhaye but that will be also in writing.

Is corporate world ne ek bahut hi gandi chiz sikhayi,
"Kissipe bhi bharosha naa karna mere bhai."
Kabhi jab hum apne aks ko dekhte hain bathroom mein lage shishe par,
fir ek khayaal dimaag ko hila ke jhakjhor daalta hai,
"Kya ye wahi asheesh hai jisne ab tak sabki batti lagayi"

No comments:

eXTReMe Tracker